Tuesday 23 December 2014

Roj ek baat - 003

Wo Lucknow ki ek yaad (part-1)

Wo kabhi kabhi hum anjaane me dialogue maar jaate hai na ki insaaniyat abhi mari nahi isi baat ke ird gird ghumti hai aaj ki ye baat....
Lucknow...ji ha shuruat karte hai thodi si nawaabi ke saath...
Lucknow jisme wo dum hai jo barbas aapko apna bana leta hai...chahe wo puraani virasat ho ya 21st century ka modernization ho....aap 'Imambaade' se shuru kijiye...ya aap 'Saharaganj Mall' ko hi le lijiye...aah in sabke bich kahi 'Hazratganj' ki black N white coding ko mat bhul jaaiyega....chidiyaghar ka 'Tillu' baagh ho ya fir haathi park ke patthar ke 'Haathi'.....sab kuch hai yaha ...haa shayad sab kuch......lekin wo hota hai na jise hum dusra pehlu kehte hai...are wahi 'Head N Tail' type...Lucknow ka mijaj bhi kuch aisa hi hai.......
Aaj jab December ki ek behad thandi subah Bhartiya Railway ki 3 ghante ki majboori ke baad mai jab sarjamin-e-Lucknow me daakhil hua to man me bus ek hi khayal tha 'kitni thand hai'...thand ki wajah se dimaag ne bhi jyada vaicharik hone se saaf inkaar kar diya...wo mahaj pratyaksh pehlu jo ki thand tha sirf usi par gaur farma raha tha....khair mai aagey badha aur is saansarik mohmaya ke bich fasi hui kuch zimmedariyon ko nibhane laga aur dekhte dekhte shaam ho gayi...wo suraj jo aaj pure din dikha hi nahi tha wo bina dikhe hi shaam ke aagosh me sama gaya....
Naitik zimmedariyon ke baad ek yuva hriday shaam hote hi atkheliya karne laga Qki ise chahe laakh samjhao...laakh pehre lagao....kitna bhi bewkuf banao ue rehta wahi hai...aapka apna 'chanchal...bebak....natkhat....baat na maan ne waala...bechara Dil'....
Mai apne dil ki baato me aa gaya aur 'Amir khan ji' ke behtarin abhinay waali ek shaandaar film 'PK' dekhne 'Saharaganj Mall' chala gaya....lo ji film bhi khatam ho gayi aur fir ek kaali shyaah raat ka daaman sir pe tha....ab kya karein...aji karna kya tha...yaad to atlast ghar hi aata hai na....ab waha bhi to jana tha...lekin 10 bajte bajte maa ki ek baat yaad aa gayi 'beta 100 kaam chhod ke khana aur 1000 kaam chhod ke nahana'....ab mere paas choice thi ki khau ya nahau...aur maine...ji ha khane ko hi chuna...auto rickshaw se chaarbaag station utra aur ek dhanyavad ke saath maine tay ki gayi rakam ada ki...is thand me us auto driver ne mujhe yaha tak chhod k bhale hi apna rojmarra ka kaam kiya ho lekin mere liye wo ek sahasik aur chunauti bhara kaam tha...khair me paise dekar jaldibaaji me apna batua jeb k hawale karte hue piche se apna saaman lekar apni manjil yaani pet puja kendra ki taraf badha.....
To be continued......

No comments:

Post a Comment