Tuesday 16 December 2014

Roj ek baat-002

Ek haseen shaam

Ek haseen shaam jo ki bahut se logo ka is busy si life me na chahte hue bhi ek adhura sa khwaab ban gaya hai...ji ha wahi haseen shaam...
Jiske baare me sochte hi ek bhini bhini sard hawao waali ek halki roshni waali ek shaam...jab aap ho...wo ho jo is sard shaam ko bhi haseen banaye aur saath me chai ke saath duba ke ki jaane waali wo baatein....bilkul wahi filmo waali romantic shaam...
Aaditya us shaam badi mushkil se khud ko kaam se faarig kar paaya tha aur jaldibaazi me apna kaam chhod ke office se nikla tha...office kya  yu kahiye ki uski personal jail..jaha pe wo har subah khud ko surrender karta tha aur har shaam ko farar ho jaata tha...ye silsila badastur kai mahino se jaari tha...Khair kisi tarah wo farar hua aur apni semi luxurious palace yaani apne kiraye ke kamare pe jo ki usne apne ghar se bahut dur aake apna sir chupane aur peeth tikaane ke liye 5000₹ per month pe sharma ji se kiraye par liya tha,Ki taraf badhne laga...par aaj uski manzil uska kamra nahi thi..kamre ki priority aaj dusre paydaan pe khisak chuki thi..aaj pehle paydan pe tha wo mandir jiske baare me usne apni maa ko phone pe bataya tha..aur uski maa ne khaaskar aaj use waha jaane ka hukm sunaya tha....aur sunati bhi kyu nahi aaj uske naalayak ka janmdin jo tha...
Aaditya maa ki baat maan chuka tha aur shaam ki aadhi aarti khatam ho jaane ke baad wo mandir me pahuch chuka tha aur thake man aur tute badan ke saath wo bhagwan ke saamne aankhein munde khada tha...khair jaise taise aarti khatam hui aur wo prasad lene pujari ji ke paas pahucha aur unhe bataya ki "pujaari ji aaj mera janmdin hai ye prasad aaj mere naam pe chadhaiyega....."...khair pujaari ji ke andar ka pandit puri taaqat ke saath bahar aaya aur unhone mantro ki ek lambi si list bhagwaan ke kaano tak Aaditya ka naam lekar daal di....maano month end me 1 hafte ki leave sanction karwaane boss ke saamne khade ho...pujaari ji ne uchit bill yaani daxina ke baad use prasad diya aur kaha 'khush raho....chiranjivi bhava'....aur shayad bhagwaan ne application turant sign kar di...kyuki Aadityajaise hi prasad leke piche ghuma uske saamne wo shaks khada tha jo uske liye 'the best gift of the day' se kam nahi tha......Tamanna....ha yahi to naam tha...Meri Tamanna....aur wo bus bebaki se musukura rahi thi...hua bilkul wahi jo filmo me hota hai....to hum emotions cut karte hue seedhe aate hai 'càfe coffee day' ki table par jaha Aaditya aur Tamanna apni coffee ka order deke uske aane ka intezaar kar rahe the...
'Happy b'day once again aadi' 17 vi baar Tamanna ne aadi yaani Aaditya ko wish kiya...shayad kya baat kare is udhedbun me use aur kuch sujh hi nahi raha tha.....Abki baar Aaditya ne mauka na gavate hue apne dil ki baat kahi...'Tammy I missed u alot yaar'...
Tamanna kuch kehti isse pehle ek awaj aayi....jo uski baaton ko wahi ek comma laga gayi...'your order sir'....coffee aa chuki thi...dono ne apni coffe ko cup se kam karna shuru kiya...bahar ka halka sard mausam,haath me garam coffee aur dil me laakho baato ke saath Aaditya ne pucha 'Vinay kaise hai?'...'wo bilkul thik hai aur mujhse bahut pyaar bhi karte hai..' Bina Aaditya ke puche ye bhi batana ki Vinay yani Tamannake pati dev unse bahut pyaar karte hai ne ye saaf bata diya ki wo ye jata dena chahti hai ki ek uske chale jaane se wo khushiyo se mahroom nahi hui hai...khair apne puraane dino ko yaad karte hue dono ne dhero baatein ki...dheron yaadein taza ki...aur baato-baato 3ri coffee bhi khatam hone ko aayi thi...jab Aaditya ne kaha 'hum dono ek hi sehar me hote hue bhi kitne dino ke baad mil rahe hai...hum chahe to roj mil sakte hai...mai yahi pass waali company me hi kaam karta hu...tum chaho to hum roz shaam ko yahi mil sakte hai aur EK HASEEN SHAAM ek dusre ke saath bita sakte hai...'
Tamanna ke chehre pe koi shikan nahi thi....wo thoda Sa musukurate hue boli 'bilkul unhi dino ki tarah tum wo sab keh gaye jo tumhe thik laga...bina soche..bilkul bebaki se...tumhari yahi aadat mujhe sabse jyada pasand hai...mera matlab thi...dekho Aaditya ab sab kuch pehle jaisa nahi raha...ab mai ek aur bandhan se bandhi hui hu...jisme Vinay ne mujhe kuch bhi karne ki puri aazadi di hui hai....lekin jo raasta ek baar band hokar naye mod pe khul chuka ho us band raaste pe musaafir aksar bhatak jaaya karte hai....mai nahi chahti ki mai ek bhatki hui musafir banu...ahr jaha tak mai tumhe jaanti hu...tum bhi aisa nahi chahoge...hum saath me bhale hi puri zindagi nahi beeta paaye jo mai jaanti hu ki bahut khusi khusi bita sakte the..to kya hua..humne bahut saare khubsurat aur yaadgaar lamhe saath bitaye....ab hum saari umar bus yahi sochkar nahi ji sakte ki wo saath hota to aisa hota..ab mujhe ye sochna hai ki wo yaani Vinay saath hai to aisa hoga aur aisa ho raha hai...aur tumhe ye sochna hai ki wo yaani tumhari life partner aayegi to aisa hoga....ye zindagi itni bhi complicated nahi hai jitna hum ise samjh aur bana lete hai....jo rishta apna safar pura na kar sake use ek khubsurat mod deke khatam kar dena chahiye....aur thank God jo tum mujhe aaj mil gaye...kyunki aaj mai sirf tumhari wajah se puri tarah se Vinay ki ho gayi...kyunki mai chahti thi ki mai ye sab baatein tumse share kar ke ek khubsurat mod de du..aur aaj maine wo kar liya...tumne mujhe apne b'day par ek bahut hi pyara 'return gift' de diya..mujhse jaane anjaane milkar....'
Aaditya coffee ka aakhiri sip liye pichle 25 minute se uski baatein sun raha tha.....aur last me wo thandi ho chuki coffee ko pet ke hawaale karte hue sirf itna hi keh paay..'Tamnna is EK HASEEN SHAAM ko EK BEHTARIN AUR YAADGAAR SHAAM banane ke liye thanx..mujhe mera bahut hi khubsurat gift mil gaya...shayad tumne ab tak jo kaha wo bilkul thik kaha...qki pehli baar mujhe ye sab boring nahi laga...ab shayad mai bhi tumhaari yaado se jin par ab mujhse jyada kisi aur ka haq hai , se aazad hokar kisi aur ke liye sapno ka ek naya mahal khada kar paaunga...thanx...thanx alot.....'

Ab dono coffee shop ke bahar khade ho ek dusre se alag lekin apni manzil ki taraf badhne waale raasto pe ek dusre ko aur ek dusri ki yaado ko alvida keh ke badh chuke the.....
Aur Aaditya yahi soch soch ke khus tha ki uski ye EK HASEEN SHAAM kitni khubsurat thi...kitni dilkash thi.....


ye tha meri kitaab ke puraane dabe panno se nikla ek short story type something...
Jaldi hi fir milte hai...
Ek nayi baat ke saath...
Ek naye din....
Tab tak ke liye Namaskar.. 👋👏👋

2 comments:

  1. 😂😂😂😂😂😂😂 speachless

    ReplyDelete
  2. Aur haa bahut achha likhne lagey ho...keep it up.... i m realy so happy for u...😂

    ReplyDelete